aaj is shab ke sannate mein nind ne aankhen pheri hain shahr thaka-haara khamoshi ki bahon mein sota hai yahan wahan khwabon ke qatre shabnam ban kar girte hain kabhi kabhi kutton ki aawazen galiyon se uthti hain sadkon par din ki raunaq ke bhut pareshan phirte hain zakhmon ki manind hasin jismon pe baraste hain sikke shishon ke pichhe afsurda shamen ashk bahati hain dast-e-talab choron ko tariki mein rah dikhata hai lamhon ke sahil par shorish-e-hasti lahren ginti hai jaane kitni ummiden is raat ke dil mein roti hain aur meri nazron ke aage imkanat ke bhige bhige sayon mein jugnu ki tarah fikr-o-takhayyul ka ek lamha dhire dhire ubhra hai kitne ehsasat tadap utthe hain raat ke sine mein hae us lamhe ki aankhen kash main un mein utar paun