chali aati hai ab to har kahin bazar ki rakhi sunahri sabz resham zard aur gulnar ki rakhi bani hai go ki nadir khub har sardar ki rakhi salonon mein ajab rangin hai us dildar ki rakhi na pahunche ek gul ko yar jis gulzar ki rakhi ayan hai ab to rakhi bhi chaman bhi gul bhi shabnam bhi jhamak jata hai moti aur jhalak jata hai resham bhi tamasha hai aha ha-ha ghanimat hai ye aalam bhi uthana hath pyare wah-wa tuk dekh len hum bhi tumhaari motiyon ki aur zari ke tar ki rakhi machi hai har taraf kya kya salonon ki bahaar ab to har ek gul-ru phire hai rakhi bandhe hath mein khush ho hawas jo dil mein guzre hai kahun kya aah main tum ko yahi aata hai ji mein ban ke baamhan, aaj to yaro main apne hath se pyare ke bandhun pyar ki rakhi hui hai zeb-o-zinat aur khuban ko to rakhi se wa-lekin tum se ai jaan aur kuchh rakhi ke gul phule diwani bulbulen hon dekh gul chunne lagin tinke tumhaare hath ne mehndi ne angushton ne nakhun ne gulistan ki chaman ki bagh ki gulzar ki rakhi ada se hath uthte hain gul-e-rakhi jo hilte hain kaleje dekhne walon ke kya kya aah chhilte hain kahan nazuk ye pahunche aur kahan ye rang milte hain chaman mein shakh par kab is tarah ke phul khilte hain jo kuchh khubi mein hai us shokh-e-gul-rukhsar ki rakhi phiren hain rakhiyan bandhe jo har dam husn ke tare to un ki rakhiyon ko dekh ai jaan chaw ke mare pahan zunnar aur qashqa laga mathe upar bare 'nazir' aaya hai baamhan ban ke rakhi bandhne pyare bandha lo us se tum hans kar ab is tyauhaar ki rakhi