chyunTi-bhar aaTa

hum kis dukh se apne makan farokht karte hain
aur bhuk ke liye chyunti-bhar aata kharidte hain

hamein band kamron mein kyun piro diya gaya hai
ek din ki umr wale to abhi darwaza tak rahe hain

chaal lahu ki bund bund mang rahi hai
kisi ko churana ho to sab se pahle us ke qadam churao

tum chithde par baithe zaban pe phul ho
aur aawaz kor si kor

insan ka piyala samundar ke pyale se mitti nikalta hai
mitti ke sanp banata hai aur bhuk palta hai

tinke jab shuaon ki pyas na bujha sake to aag lagi
main ne aag ko dhoya aur dhup ko sukhaya

suraj jo din ka sina jala raha tha
aasmani rang se bhar diya

ab aasman ki jagah kora kaghaz bichha diya gaya
log mausam se dhoka khane lage

phir ek aadmi ko tod kar main ne suraj banaya
logon ki poren kuen mein bhar din

aur aasman ko dhaga kiya
kaenat ko nai karwat nasib hui

logon ne inton ke makan banana chhod diye
aankhon ki zaban-daraazi rang lai

ab ek qadam pe din aur ek qadam pe raat hoti
haal jurat-e-guzishta hai

aa tere baalon se shuaon ke ilzam utha lun
tum apni surat pahad ki khoh mein ishaara kar aae

kund hawaon ka e'tiraf hai
safar edi pe khada hua

samundar aur mitti ne rona shurua kar diya hai
belche aur bazu ko do bazu tasawwur karna

suraj aasman ke kone ke sath latka hua tha
aur apni shuaen apne jism ke gird lapet rakhi thin

main ne khali kamre mein muafi rakhi
aur mera sina dusron ke darwaze par dhadakta raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close