main waqt ke kheme se nikla to uljhanon ki chilchilati dhup mein zist mujh se lipat padi aur suljhanon ka safar mere talwon par likh diya inkar se na-ashna main ne panw par safar bandh liya ab aasman jaisa ek hasin manzar bana kar mujhe safed parindon ke hawale karna hai dil ki zamin se nafrat ki jaden kat kar wafa-parwar jazbe kasht kar ke dhadkanon ko ek nai tartib mein dhaalna hai be-rahm saaton ko mehrban lamhon ki dastan sunani hai andheron ko raushni ke ghilaf mein band karna hai an-ginat tarik aaankhon mein dhanak rangon se zindagi ki taswir banani hai tasir ko apne lahje mein panah de kar aasman tak duaon ka rasta khojna hai harf-ashnai se apna muqaddar aasmanon par likh kar band mutthi mein chinghadte sukut aur andar bhari chikh ko gum-nami ke jaziron mein dafn karna hai aasman jaise is hasin manzar ko takhliq kar ke zamin ko aasman banana hai