tamam lafzon mein raushan har ek bab mein man junun ke shelf mein hai ishq ki kitab mein man ai man to khushbu ka nayab istiara hai ai man tu ud mein ambar mein tu gulab mein man khud apni mamta mein hi nur ka samundar hai nahin hai aur kisi raushni ki tab mein man wo jism kho ke badal si gai hai kuchh mujh mein thi pahle sirf sawal ab hai har jawab mein man mere sawalon ke sare jawab le aai chali gai thi magar lauti phir se khwab mein man main jab bhi zabh hui zindagi ke khanjar se dukhi hai khwabon mein ek dasht-e-iztirab mein man ganwa ke jism wo fursat se i mere pas sisak sisak ke sunaya thi kis azab mein man main man ki zinda nigahon ko khud mein jiti hun har inqalab mein har dam har aab-o-tab mein man mere uruj ka wo silsila inam-o-saza mere zawal mein har zinda inqalab mein man tujhe lubhane ko main satrangi bani thi man ye ja chhupi hai tu kis parda-e-ghayab mein man bandhi hain aankhen meri ab bhi maut ke pul se hai har sukut mein khamosh iztirab mein man umad rahe hain har ek pal se maut ke thatthe wo ja rahi hai meri panja-e-uqab mein man wo jism haar gai maut se magar mujh mein wo ji ke goya hai phir maut se jawab mein man