bas itni rudad hai meri ishq mein khana-kharab hua main un ki aankhon ka tha ishaara waqf-e-jam-o-sharab hua main zulmat-e-sham-e-alam kam karne apne hi ghar mein aag laga di main ne kufr-e-junun ke hathon mamlakt-e-kaunain ganwa di dard-e-wafa ko shohrat de di mahfil mahfil ghazal suna kar zakhmon ke gul-daste beche gali gali aawaz laga kar des des phailai kahani apni wafa ki un ki jafa ki dhajji dhajji ruswa kar di apne gareban un ki qaba ki dil ke lahu se kitne aansu chamka chamka kar chhalkae reza reza kanch ke sapne liye phira palkon pe uthae kabhi to khud roya mahfil mein kabhi unhen khalwat mein rulaya un ki ek ek yaad ko samjha ruh o dil o jaan ka sarmaya un se jo gham mila us gham ko ek saughat-e-wafa thahraya duniya ki ek ek uljhan ko un ki zulfon se uljhaya un ki qamat ka afsana dar talak main ne pahunchaya un ke liye sau jaan se main ne maut ko apne gale lagaya har ek sar ko un ka sauda har ek shauq ko wahshat de di har ek dil ko un ki tamanna har sine ko hasrat de di bas itni rudad hai meri ishq mein khana-kharab hua main kisi shahr mein kisi hajar mein farsh-e-zamin par arsh-e-barin par kisi sitare kisi qamar mein aalam-e-arz-o-sama mein kahin par kash koi wo hasti hoti jis ko ye rudad sunata bojh gunahon ka hai dil par aaj ki shab halka ho jata us se kash ye kah sakta main aalam-e-kul tujh se kya parda kizb-e-mukammal hai ye kahani ye sara afsana jhuta main ne khud hi tarasha ye but aur us but ko khudai de di mujh ko bhi is par sach ka guman hai jhut ko wo ranai de di aaina-khanon mein rangon ke apni hi surat ko saraha apni hi takhliq ko puja apni hi talbis ko chaha dil ke mahram ruh ke shahid! jhut aur sach pahchanne wale main ne unhen dekha bhi nahin hai meri haqiqat jaanne wale! mere khair-o-shar ke muhasib tujh par to sab kuchh raushan hai meri saza jaza ke malik mera jurm ye mera fan hai apni tamanna ka mulzim hun! main in khwabon ka mujrim hun!