wo jo har roz apni khidki se dekhta hai ki dur se koi rah-rau aae aur wo us ko ghar mein madu kare mohabbat se baith kar guftugu kare us ko is haqiqat ka koi ilm nahin? shahr ki maut ho chuki aur wo apni khidki se jhankne wala ek akela hai sari duniya mein nasl ka aakhiri numainda