tai hui thi ek mulaqat railway-track par lekin rail-gadi ka engine musalsal khansta raha platform number aakhiri par aur phans gae musafir ek dusre ki galiyon mein so yak-tarfa rahi mulaqat khidki se bahar pukar raha tha aasman magar chitkhini aur frame ne jakad liya ek dusre ka hath aur habs badhta gaya logon ki aamad-o-raft ke sath chulhe se der tak aati rahin dhunki hui aawazen aur rangin chehre wali news-caster ne dohrai wahi basi khabar ki sardi ki shiddat ke bais mahngi ho gai hai aag is liye parhez kiya jae aurten jalane se pul par izhdiham tha traffic ka lekin kisi hadse ko dikhai nahin di hamari surat aur hum niche utar aae chor darwaze se dariya ko khali dekh kar apni miad puri kar chuki thin nind ki tamam dawaen is liye zabt kar li gain aur khali stores mein taliyan pitti rahin sar-dard ki be-asar goliyan mumkin hai phir se muntazir ho izrail railway-track par lekin hum sasti kitabon ke ambar se talash kar chuke hain maut ke manzar ke baad likhe jaane wala qimti nuskha