kya jaane us zarif ke kya dil mein aai thi curfew mein jis ne mahfil-e-sheri sajai thi allah aisa zauq jahannam mein dal de curfew mein shairon ko jo ghar se nikal de aise mein jab ki shahr ke sab raste hon band sadkon pe aa gae the ye ba-zauq shar-pasand aise mein jab ki ghar se nikalna muhaal tha lekin ye shairon ki ana ka sawal tha sheri-mahaz khana-e-shaer se dur tha kaba mein hajiyon ko pahunchna zarur tha shair rawan the sher ke chaqu liye hue dil mein khayal-e-khidmat-e-urdu liye hue zor-e-qalam ke sath sipah-e-riyaz thi qanun hath mein tha baghal mein bayaz thi galiyon mein qatl-o-khun tha sadak par fasad tha shair ba-zor-e-fikr sharik-e-jihad tha kaisi nikal rahi thi sada gun-machine se jaise kisi ko dad mile samain se shair bayaz lae the sanduq ki tarah misre ugal rahe the wo banduq ki tarah jab firing ahl-e-sukhan ki hui tamam ye khidmat-e-adab ka police ne sila diya kuchh shairon ko road pe murgha bana diya kuchh kohna-mashq bhi the sujud-o-ruku mein jabran unhen padhaya gaya tha shurua mein tarhi mushaere ka saman de rahe the wo ek misra-e-tarah pe azan de rahe the wo kuchh shairon ko naghma-sarai ki fikr thi sadr-e-mushaira ko rihai ki fikr thi jab shairon ke hath sharik-e-dua hue curfew ka waqt khatm hua tab riha hue sab apne apne ghar gae is haw-hu ke baad shair-azim hota hai har curfew ke baad
Please share if you liked this!!!