karachi

dhuen aur dhul mein kala gulab
yahan par satwan dar ism se mahrum

bose ki wiladat ke liye sukhe hue honton ki shiknen
barf ki qashen

zamin ka banjh-pan apna hisar
shunida na-shunida raston ki garm raaten

jism ke baalon ka uni coat
sindh ke dariya ki lahron ki rawani

do taraf kelon ke baghiche
nigahon ki bikharti ret mein tamir hote barber

sah-manzila ashjar ke pichhe larazta tram ka loha
guzarti raat ki charbi pe jamte aaine se din

khas-o-khashak ki badon ke pichhe sim-zada umron
ke bute

pur-shikan choghon mein dhalte mas be-girya
yahi gardan pile harf ki zanjir

gamlon mein ugae sare paude
qufl ban kar samne hain

jism ke aate mein donon hath
din aur raat din aur raat gundhte hain

pahli suraj ki kiran ke sath
machheron ke tane rise

samundar ki jadi hansuli pe girte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close