![](http://cdn.pagalshayari.com/images/nazm/daera-kaifi-azmi-nazm-english.jpg)
roz badhta hun jahan se aage phir wahin laut ke aa jata hun bar-ha tod chuka hun jin ko unhin diwaron se takraata hun roz baste hain kai shahr nae roz dharti mein sama jate hain zalzalon mein thi zara si garmi wo bhi ab roz hi aa jate hain jism se ruh talak ret hi ret na kahin dhup na saya na sarab kitne arman hain kis sahra mein kaun rakhta hai mazaron ka hisab nabz bujhti bhi bhadakti bhi hai dil ka mamul hai ghabrana bhi raat andhere ne andhere se kaha ek aadat hai jiye jaana bhi qaus ek rang ki hoti hai tulu ek hi chaal bhi paimane ki goshe goshe mein khadi hai masjid shakl kya ho gai mai-khane ki koi kahta tha samundar hun main aur meri jeb mein qatra bhi nahin khairiyat apni likha karta hun ab to taqdir mein khatra bhi nahin apne hathon ko padha karta hun kabhi quran kabhi gita ki tarah chand rekhaon mein simaon mein zindagi qaid hai sita ki tarah ram kab lautenge malum nahin kash rawan hi koi aa jata
Please share if you liked this!!!