aaj phir zehn ke in band darichon ke tale dil mein soe hue ehsas ne karwat badli aur chupke se mahak uttha teri yaad ka phul zakhm ne aankh mali yas ne karwat badli gungunane lage majruh tamannaon ke lab ruh ke jism se naghmat ke dhaare phute barf mazi ki pighalne lagi qatra qatra dil se pur-soz khayalat ke dhaare phute waqt ki dhul mein lipte hue yaadon ke charagh tere chehre ki raunat ko jila dene lage meri palkon se tapakte hue ashkon ke guhar mujh ko meri hi mohabbat ka sila dene lage muddaton ba'd ek akhbar ke safha pe mujhe teri taswir nazar aai kisi aur ke sath tere pahlu mein koi mah-jabin baithi thi nae tewar nae andaz nae taur ke sath karwaten lene lagin dard ki lahren dil mein yaad ki rakh fazaon mein bikharne si lagi zehn mein gunj uthi teri khanakti aawaz teri tahrir nigahon mein ubharne si lagi khud-bakhud chashm se kuchh ashk rawan hone lage apne mahaul pe haalat pe rona aaya kai salon se jo bimar nazar aati hain unhi farsuda riwayat pe rona aaya tere chehre mein nazar aaya kisi aur ka rup yak-ba-yak shoala-e-ehsas tapan hone laga tere pahlu mein jo ek mah-jabin baithi thi us ki surat pe mujhe apna guman hone laga mere honton pe tabassum ki kiran jag uthi dil ko soi hui ulfat ka khayal aa hi gaya kaj-adai mein teri raaz nihan hai kaisa jaane kyon zehn mein ye ek sawal aa hi gaya teri taswir ne ye raaz magar fash kiya log kis tarah badal jate hain dhire dhire mom ki tarah badan un ka pighal jata hai ek nae sanche mein dhal jate hain dhire dhire