ek diwar jo hael hai meri sochon mein kitne pechida sawalon se mujhe rokti hai jab bhi main rakht-e-safar bandhti hun shane par apni jadu-bhari hasti se mujhe tokti hai ye jo diwar ki rahti hai siyah khanon mein din dhale apne tilismat ko dikhlati hai mujh ko mahsur kiye rakhti hai angaron mein chaar jaanib rukh-r-anwar se bahlati hai aisa lagta hai ki taron se damakti hui raat ek zara jumbish-e-mizhgan se bhi bujh jaegi meri sochon ke tasalsul ko ye biphri nagin ek hi aan mein afsos nigal jaegi subh hote hi ye diwar-e-siyah khanon mein ret ke dher ki manind utar jaegi raat ki jadugari khwab si ban jaegi shama-danon mein faqat rakh hi rah jaegi ek naya din meri viran guzargahon par le ke kashkol mere sath utar aaega mere daman se lipat kar ye samay ka rela mujh ko mujh se hi juda karne pe uksaega ek diwar jo hael hai mari sochon mein