ye adaen raqs ke hangam kitni raqs-khez wo jawanan-e-qabila hosh se bahar chale kakulon ke sumbulistan aarizon par aks-rez jaise sahil ka nazara aab-e-dariya par chale ek tassur hai ki raqsan ho raha hai har taraf shamen raushan hain charaghan ho raha hai har taraf aag ke atraf raushan jaise ek fanus-e-raqs raqs karti ladkiyan kuchh aag ke atraf yun jaise sath-e-ab par mahtab ke haale ka aks jis ko jhule mein jhulaen mauj-ha-e-simgun mil ke jab jhukti hain lagti hain kali munh-band si aur jab tanti hain kis darja bhali dil-band si ek taraf wo surkh mishal hath mein le kar chale kuchh hasin kuchh naznin kuchh sarw-qad kuchh sim-tan jaise kuchh phulon ke nazuk narm-rau lashkar chale narm-raftari mein dajla ke tamawwuj ki phaban jaise sahraon ke aahu mahw-e-gul-gasht-e-chaman ye hasin aahu-qadam aahu-nafas aahu-mizaj le rahe hain nau-jawanan-e-qabila se khiraj jalwa-paira jalwa-saman kitne dilkash mahtab kitne afsanon ke paikar kitne rang-o-bu ke khwab wo jabinon ke araq mein jaise shoalon ke sarab jaise sandal mein shararon ke tabassum mahw-e-khwab shoala-afshan kakulon mein surkh phulon ke charagh jaise tariki mein mil jaen ujale ke suragh aarizon ki chandni phaili hui si har taraf har taraf hai ek tarkash ek aahu har qadam kar rahe hain raqs daf par mahwishan-e-jalwa-tab har taraf bikhre hue hain wadi-e-dajla ke khwab kuchh kanwal kuchh nastaran kuchh sumbulistan kuchh gulab