sham-e-hangam to hum hai tasawwur ke khatolon pe saji apne ajdad ke ayyam ki taswiren damak uthi hain aise lagta hai ki zarron se nikalte the qamar zindagi raqs-kunan nazan-o-shadab hua karti thi naddiyan dudh ki bahti thin moattar thi hawa mahfil-e-hast mein har su the rasile panghat sabz pedon pe khila karte the naghmon ke gulab wahshat-e-atish-e-auqat ki illat to kuja koi darmandagi ke nam se waqif bhi na tha kitne manzar the jinhen khuld ke manzar kahiye rup ki nagri mein sangit ke sagar kahiye aaj chehron pe masarrat bhi sarasima hai wahshat-e-atish-e-auqat ne aafat ke shoale phenke har taraf maut ke jwala-mukhi ka lawa sans lene se pighal jate hain udte panchhi araz-e-tahzib ke sine mein numu-yafta zahrile juzam qaf gulfam ki aabaadi ko le dube hain waqt ki god mein sukhe bachche chaar-su ghumte laghar ranjhe nae changez nae nadir-shah aahan ho sharba ke shab-diz kahin maktab-e-nakhshab ke fusun-kar bagule hain ki sarsam ke sar chashme hain gunjte shahpar-e-aseb ke khuni panje aadam-e-shaeq-e-fitrat ke liye qufl abjad bhi hain zanjiren bhi rup ki nagri mein bahrup ke tajir aae dur deson ke fusun-kar zar kaghaz rahat ke liye chaar-su kushton ke pushte bhi lage hain dekho kis qadar khun-baha baqi hai aankhen pathrai hain maon ki ghulaman-e-rusum-e-amwaj apni aqlim ki mearaj kahan baithe hain zarre zarre se nikalte hain andhere bichchhu nadi nalon mein hawaon mein lahu khuld mashriq mein lahu jannat maghrib mein lahu rup ki nagri mein sangit ke sagar mein lahu meri masjid mein lahu aap ke mandir mein lahu dekhna ghaur se ai chaaragaro meri bakal mein lahu aap ki chadar mein lahu