ek ladki baghaarti hai dal dal karti hai arz yun ahwal ek din tha hari-bhari thi main sari aafat se bari thi main tha hara khet mera gahwara wo watan tha mujhe bahut pyara pani pi pi ke thi main lahraati dhup leti kabhi hawa khati meinh barasta tha jhonke aate the godiyon mein mujhe khilate the yahi suraj zamin the man bawa mujh se karte the nek bartawa jab kiya mujh ko pal-pos bada aah zalim kisan aan pada gai taqdir yak-ba-yak jo palat khet ka khet kar diya talpat khub luta dhadi dhadi kar ke mujh ko gaunon mein le gae bhar ke ho gai dam ke dam mein barbaadi chhin gai hae meri aazadi! kya bataun kahan kahan khincha dal-mandi mein mujh ko ja becha ek zalim se wan pada pala jis ne chakki mein mujh ko dal dala hua taqdir ka likha pura donon paton ne kar diya chura na suni meri aah aur zari khub baniye ne ki kharidari chhana chhalni mein chhaj mein phatka qaid-khana mera bana matka phir muqaddar mujhe yahan laya tum ne to aur bhi ghazab dhaya khaal khinchi alag kiye chhilke zakhm kyun-kar hare na hon dil ke dalin marchen namak lagaya khub rakh ke chulhe pe ji jalaya khub us pe kaf-gir ke bhi thoke hain aur nakhun ke bhi kachoke hain mere galne ki le rahi ho khabar dant hai aap ka mere upar garm ghi kar ke mujh ko dagh diya hae tum ne bhi kuchh na rahm kiya hath dho kar padi ho pichhe tum jaan par aa bani hawas hain gum achchhi bi-bi tumhin karo insaf zulm hai ya nahin qusur-muaf kaha ladki ne meri pyari dal mujh ko malum hai tera sab haal tu agar khet se nahin aati khak mein mil ke khak ho jati ya koi gae bhains char leti pet mein apne tujh ko bhar leti main to rutba tera badhati hun ab chapati se tujh ko khati hun na satana na ji jalana tha yun tujhe aadmi banana tha agli biti ka tu na kar kuchh gham mehrbani thi sab, na tha ye sitam