aah kya kya aaj-kal ranginiyan dehli mein hain raston par chalti-phirti bijliyan dehli mein hain khuld ki huren bhi sharmati hain jin ke husn se aaj-kal un mah-washon ke karwan dehli mein hain halke-phulke aanchalon mein naujawani ka ubhaar raqs karte gungunate gulistan dehli mein hain aadmi kya hain farishte bhi jinhen sajda karen in dinon raqsinda wo sarw-e-rawan dehli mein hain mai-kashon ko nashsha ho jata hai be-jam-o-subu husn ki wo dil-fareb angdaiyan dehli mein hain koi gul hai koi ghuncha hai gulistan hai koi har taraf gul-bariyan gul-kariyan dehli mein hain koi mai-khana koi saqi koi jam-e-sharab har taraf bad-mastiyan be-hoshiyan dehli mein hain dar-haqiqat aaj-kal ye shahr hai indar-prasth wo hasin huren wo sundar dewiyan dehli mein hain naghma-ara wadiyon mein hain nujum-o-mehr-o-mah husn ki chhai hui barnaiyan dehli mein hain aur inhin barnaiyon ke sath ai ham-raaz-e-jaan kis qadar sahmi hui si talkhiyan dehli mein hain aur inhin naghmon ke sath ai mutrib-e-afsun-nigar kis qadar sakit labon par hichkiyan dehli mein hain aaj-kal dehli mein kya kya hai na puchh ai ham-nafas choriyan hain rishwaten hain pagdiyan dehli mein hain jo ba-zahir but-shikan hain aur ba-baatin but-tarash khubi-e-taqdir se wo mehrban dehli mein hain ek doshiza ki qimat ek roti ho gai kis qadar ai dost anqa rotiyan dehli mein hain koi kar sakta nahin firqa-paraston ki shanakht ek do kya toliyon ki toliyan dehli mein hain bojh se jin ke pahadon ke laraz uthte hain dil zindagi ke wo bhayanak imtihan dehli mein hain jail ke tarik kamron mein jo rahte the kabhi aaj bhi wo kaamiyab-o-kaamran dehli mein hain koi sunta hi nahin ahl-e-mohabbat ki pukar har taraf kuchh ajnabi si boliyan dehli mein hain khun ro han khun rota hashr is adbar par wo purane taur ai dil ab kahan dehli mein hain