kasmasati hui rengti aur bal khae badhti hui koi daldal lapete hue hai meri gardan pe baalon pe kichad ke chhinte mere munh mein na saf pani ka gadla kasila maza hai hath tute hue chappuon ki tarah meri nazron mein hain nuqrai aasman aur kirnon ke jharne khalaon mein uljhe hue chand tare darakhton ke maghrur qad aur bebak bazu subuk jism sakit pahadon ki bahti hui symphony aur maujon ka aahang lamhon ki uryaniyan daw’at-e-sang zarron ke mubham ishaare muntazir ek jahan lekin is gadhi daldal ke dariya mein hai kaun rahwar mera yahan kaun ham-raaz hai mere damanda laghar badan ke siwa ek tuta safina phate baadban