zist ki tang pechida rahon pe chalte hue aise pur-haul jangal mein hum kis tarah aa gae sakht sukhi zamin par darakhton ke bojhal tane tund-khu aur wahshi darindon ki manind panje jamae khade hain un ki sukhi hui zard shakhon insanon ke hath panw kate sar kate jism bazu bazuon aur tangon se mahrum dhad nak naqshe se mahrum chehre har ek samt latke hue hain raste muntashir pur-khatar raste ek mubham andhere mein gum hain aur un raston mein kai ungliyan kan uljhe hue baal viran aankhen chhide hont har samt bikhre hue hain zakhm-khurda bhatakte qadam khud-bakhud ruk gae hain koi insan mujh ko mile magar to puchhun ki kya main abhi tak wahi shoala-andam simab-pa zauq-e-hasti se betab dard-ashna ek insan hun ya faqat koi tuta hua hath bazu koi nak naqshe se mahrum chehra hun main aur yun sakht shakhon se latki hui hun koi sarshaar jazbon ki ju-e-rawan ho to dekhun ki kya meri aankhon ki gahraiyon mein abhi tak wahi jurat-e-did hai rifat-e-zauq-e-parwaz hai aur kya mere aaza ke kham aur mere khad-o-khal abhi zindagi ki sarahat ke ghammaz hain lazzat-e-agahi ke amin hain ya ki ab main bhi bas kuchh kate kan viran aankhen chhide hont bikhre hue baal hun aur yun nim-tarik gumnam rahon mein bikhri hui hun