be-nam aawara paudon aazurda ashjar bahmani tajdaron ke abadi masakin se mulhaq nauha-kunan pattharon ki ye chhoti si basti ababilen jis ki muhafiz dil-shikasta dilon dil-girafta shabon ke gulu-gir lamhe jis ke ham-raaz tu jahan tis battis barson se rahti chali aa rahi hai kya waqa'i is qadar pur-sukun to yahan hai main teri kokh ki fasl ka ek pauda teri shafqat ka jharna kahan hai taj katba ka sar pe uthae hue tu bhi kam kya kisi tajwar se hai man mere daman ko lekin zara dekh le mujh se anfas ka le hisab zindagi ki ladai mein nusrat mili kin maqamat par aur kahan main ne pai shikast kis nafas zulmaton ke padaw mile kis nafas chahaton ko nadamat mili kis nafas khwahishon ke janaze uthe kis nafas dil jala kis nafas mere jazbon ki miras gum ho gai mere ehsas ki ek ek pankhudi kis nafas bik gai nim-shab ki khamoshi ke jangal mein meri nawa ke parind aaj pahli dafa tere maskan ki bojhal fazaon mein mazrub udte hain un ka darman sama'at teri ho to ho main to daman-darida tahi-dast hun