rukhsar-o-lab kaukab-sifat itne ki yaadon ke liye mumkin nahin tajdid bhi khurshid bhi nahid bhi is par wo jazb-e-be-karan sangin hisaron ka adu wo mah-ru aise gurezan jaise sahil se palatti mauj aamezish kahan kitna ziya'-e-jism-o-jaan jis mein na thi mauj-e-saba mauj-e-ziya aisa ziya'-e-narawa ab dida-e-hairan mera aaina san sakit misal-e-sham-e-yazdan mahw-e-takh’il-o-guman kitne sitare hosh ke pahna-e-subh-e-husn mein khoe gae aashuftagi sahra-o-dariya ki tarah sahba-e-ghaltan ki tarah husn ek shakh-e-be-samar mizrab-e-jaan soz-e-fughan jaise shabistan-e-shab-e-mahtab par be-sud mandlai hawa khwab-e-numu napaid-tar wo be-khabar rukhsar-o-lab is shauq ke kitne shabistan khwab se aari hue be-mehr chehron ki kai shamen nazar ke samne jaise mataa-e-narm dast-e-be-hunar ke samne