phir ghumao aakhiri dao lagao kya khabar is bar aakhir mil hi jae bis billion sal ki wo gum-shuda punji mujhe main main kisi aise hi lamhe ke kinare tujh se bichhda waqt ka chakkar ghuma kar tu ne jab taqdir se mitti juda ki aur main ne apni mitti se judai ye judai aansuon mein gundh kar rakkhi hui hai chaak par in bis billion sal mein is chaak par main ne banai ek jannat aur is jannat ki raunaq ek aurat ghar mein ab tak muntazir hai raat ka pichhla pahar hai main jua-khane mein tanha zindagi ka aakhiri dao lagane ja raha hun rokna mat teri jaanib aa raha hun