baz baaten bahut mamuli hoti hain magar un ke dant pure jiwan ko katte rahte hain ye ek nazm ke darmiyan hua aaghaz tha jo ikhtitam tak pahunchne se pahle hi puri nazm samet gum ho gaya shayad baz bahut mamuli baaton ke dant ek puri nazm ke jiwan ko musalsal katte rahne ke liye honge so tumhaari nazm gum ho gai 'hamesh' so tum bhi gum ho jao 'hamesh' an-dekhi tahdariyon mein gum ho jao 'hamesh' is se pahle ki kisi aawaz ke dant adam-e-tarik mein kaund jaen kyun na tum abhi ye jaan lo ki mamuli se mamuli baat apne hisse ki aawaz se guzar gae na jaanne wale ke liye to bazgasht ban jati hai magar jaanne wale ke liye maut ke dant warna ye usi ka to saundarya jahan-guzida hai ki dhup itni dhuan-dhaar gir rahi hai ki bijli ke khambe aur chale gae hain ab kabhi kuchh nahin sunai de sakega pahle bhi kya sunai diya hoga ki ek abhagi samaat ko ek ghante ki nasha guman zarb-e-nadida ya tin minute ki sukut-e-khush-gawar thokar par rakh liya hoga aur kaha gaya ki ab intizar na karna ki ab bahut ho chuka ki nahin chahiye ki jo kabhi chahiye tha so jis rah par aaj tum udas maqsum baithe ho is se tumhaare hisse ki koi man-chahi rah to ke nahin milti wo koi aur zamana raha hoga warna kahan ki chambal nadi aur kahan us ka pani aur kabhi kinare se dala hua purana tanbe ka paisa us ki tah mein pada nazar aa raha tha to wahan ab tak kitni hi hasid sauteli parchhaiyon ka nuzul hua hoga tumhaare aansuon ke sankan ko an-dekhi mitti mein daba ke upar se pat dene ke liye so gum ho jao 'hamesh' us ki nazar se aur apni nazar se bhi aisa to kabhi nahin hua hoga ki agar kisi ne khuda ko nahin dekha to kya khuda ne bhi kisi ko nahin dekha ki agar koi khuda se nahin mila to kya khuda bhi kisi se nahin mila phir wo kaun hai jo apne jazb ke hissa ki aasmani kanghi mol le ke apne sar ke beach mang kadhta hai us samay jab us ke gham-dida hisse ki duniya mein us ke lutf-e-nadida ki barish ho rahi hoti hai ya shayad kisi jahan-e-asuda ki ummid mein kisi jahan-e-na-asuda se guzarna padta hai tab wapas le jaane ke liye aayaton se shukr ke ek dane ko samet ke apni jagah le jaane wali chiyuntiyon ke jamaw se purani yaadon mein mahfuz rakhi hathiyon ki qatar se e'tibar-e-adam mein zam hona padta hai bhul jao ki tum us ke liye siyah gulu-band mein chamakte tin nagon mein se kisi ek nag mein bhi shamil ho sakoge