huzur aap aur nisf shab mere makan par huzur ki tamam-tar balaen meri jaan par huzur khairiyat to hai huzur kyun khamosh hain huzur boliye ki waswase wabaal-e-hosh hain huzur hont is tarah se kapkapa rahe hain kyun huzur aap har qadam pe lad-khda rahe hain kyun huzur aap ki nazar mein nind ka khumar hai huzur shayad aaj dushmanon ko kuchh bukhar hai huzur muskura rahe hain meri baat baat par huzur ko na jaane kya guman hai meri zat par huzur munh se ba rahi hai pik saf kijiye huzur aap to nashe mein hain muaf kijiye huzur kya kaha main aap ko bahut aziz hun huzur ka karam hai warna main bhi koi chiz hun huzur chhodiye hamein hazar aur rog hain huzur jaiye ki hum bahut gharib log hain