gurezan

tumhaare sath chalne ka
mujhe jab hausla tha

tum kahan thin
khwab ke madfan mein

raushan
shama pa-basta

yahan se dur ka
afsurda na-bina musafir

jab bhi guzrega
wo eajaz-e-basarat se magar mahrum guzrega

pukarega kisi ham-dam ko jab
to gunj ke afsun mein

us ki garmi-e-raftar dhundega
use jab lazzat-e-qurb-e-gurezan ki

purani yaad aaegi
wo jal jaega pal-bhar mein

tumhaari surat-e-gul ke tasawwur se
agar tum sochti ho mawara-e-roz-o-shab ho

wo bhi shayad roz-o-shab se mawara hoga
main na-bina musafir hun na sahil par tumhaara ajnabi thahra

mulaqaton ke banjar silsilon
ke par kya hoga

salasil ke tasalsul mein
meri aawaz ke chalte hue

gulshan ka kya hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close