main bhi kuchh khwab sar-e-shahr-e-tamnna le kar sar mein irfan-e-gham-e-zat ka sauda le kar dil mein arman nahin aag ka dariya le kar aankh mein hasrat-e-didar-e-tamasha le kar bas yunhi uth ke chala aaya tha be-rakht-e-safar gulab-jismon ke sang sanson ka sochta tha ghazal aankhon mein ghar banane ki aarzu thi kisi ki zulfon mein sar chhupana bhi chahta tha dil-o-nazar mein tamam manzar hare-bhare the sada-e-dil par rawan-dawan sa chala to tha main magar wo manzar ki jin manazir mein dikh raha tha naya sawera wo sare manzar har ek hasrat dhuan dhuan si kahin pe gham hai magar main ab bhi dabi dabi si sada-e-dil hi to sun raha hun zamana lekin usi tarah se rawan-dawan hai udas-o-bad-dil na tha na hun main yahin se mujh ko nae safar ki nawed bhi hai