sab se pahle ishq mein ungli hi pakdi jae hai rafta-rafta phir kahin pahunche ka number aae hai roz mujh ko wada-e-farda pe jo tarkhae hai main teri chaalon ko samjhun hun mujhe bahlae hai wo to sach-much qatl ke maidan mein hain khanjar-ba-kaf ab na thahra jae hai mujh se na bhaga jae hai dil to dil han jaan kho kar bhi na paya aap ko hum to sunte aae hain jo khoe hai wo pae hai dekh hatha-pai ki naubat na aa jae kahin kya teri shamat na ghera hai jo tu sharmae hai un ki chahat thi mujhe ab meri chahat hai unhen husn bhi to ishq ke sanche mein dhalta jae hai tujh se teri zulf se donon pareshan ho gae mujh ko tu latkae hai aur dil ko wo latkae hai mujh se ye kah kar sifarish kar rahe hain ghair ki hae bechaara hamesha tapta rah jae hai arz-e-dil sun kar ajib andaz se kahne lage meri sunta hi nahin bas apni apni gae hai kuchh meri tadbir se kuchh ghair ki taqdir se kaam banta hai magar ban ban ke bigda jae hai sharbat-e-didar ki ummid un se kya karen ab shakar milti nahin hai sirf gud ki chae hai jagna aur intizar-e-yar karna hai fuzul roz ka dhanda hai ye wo aae hai na jae hai ek jhalak dikhla ke tu hafton ko pinhan ho gaya mujh pe mere yar kyon jhuta karam farmae hai baat qabu ki nahin hai ab to main majbur hun kya tabiat ko sanbhaalun dil to phisla jae hai main ne mana sher mere kuchh nahin phir bhi 'zarif' kuchh na kuchh mahfil ka in se rang to jam jae hai