na jaane ye gul-e-khud-rau zamin ki sakht parten chir kar kab khil utha aise ki sara bagh us ki sar-kashi par dam-ba-khud sa hai kisi mashshaq hathon ne na boya hai na sincha hai kisi ne parwarish ki hai na nigrani mein rakkha hai ye gahre chikhte rangon mein apne hone ka elan kuchh aise kiye jata hai ki nazren bachana bhi bahut mushkil abhi zer-e-zamin kya jaane kitne kasmasate hain darakhton mein hai sargoshi mushawwash lala-e-rangin