khala ne ek murghi pali kahin safed aur kahin hai kali din bhar kat kat karti hai wo dana danka chugti hai wo ande bhi deti rahti hai lekin abhi wo kudak hui hai khala ne kuchh ande jamae in par is murghi ko bithae din bhar wo ande seti hai andon se tab chuze nikle chhote chhote nanhe nanhe rawi ke galon ke jaise murghi jidhar jidhar bhi nikle chuze pichhe pichhe daude khalu khush the dekh ke chuze khush ho kar khala se bole chuze andon se kab nikle murghi baithi kitne dinon se khala boli bis aur ek din main ne shumar kiye hain gin gin khalu bole ab to begam kal se ande sete hain hum kal mein ande rakh dete hain ghanton mein chuze bante hain ye sun kar khala ne bhai danton mein bas ungli dabai