sans lene ke liye qasr-o-kashana zaruri to nahin koi virana koi dasht hi kafi hai jahan aasman aur zamin roz gale milte hain subh-dam baad-e-saba shakh-dar-shakh lutati hai nami khushbu phailati hai aanchal apna khilkhilati hui doshiza kali ke rukhsar shokh bhanwre ki nigahon se shafaq hote hain makhmalin panw tale sabza-e-baalida koi chhamchhamati hui barish mein naha jata hai sham darmanda parindon ki panah-gahon mein qumqume kirmak-e-shab-tab ke raushan kar ke shab ki aaghosh mein so jati hai an-ginat hiron ki nannhi kaniyan jagmaga uthti hain taron ke hasin mathon par chand dudh katora le kar budhi nani ki kahani mein sama jati hai koi aawaz na saz koi naghma na alap na koi bahas na tamhis na takrar koi na siyasat na khabasat na shamatat koi ikhtilafat se dur sare mafadat se dur sab khurafat se dur chhal kapat jhut na dhoka na fareb koi uljhan koi fitna na koi jhunjhlahat koi shikwa na gila fikr-e-farda na hi andesha-e-imroz koi ek anjaan masarrat ki kiran an-chhue khwabon ki thandi bauchhaar ajnabi si kisi khwahish ka khumar kisi be-nam se ehsas ka lams arsa-e-jaan mein utar jata hai zinda rahne ka amal kitna jaan-bakhsh nazar aata hai sans lene ke liye qasr-o-kashana zaruri to nahin koi virana koi dasht hi kafi hai magar dasht wo dasht jise dekh ke ghar yaad na aae