dil badha us ki pazirai ko hathon mein uthae sabz jugnu nuqrai gul surkh naranji sunahri kanpti lau ka charagh aisi gul-ru thi ki jab aati nazar ke samne sari samton mein mahak uthte the bagh aisi mah-rukh thi andhere mein bhi jab dil ke qarib aata kabhi us ka khayal is ada se sar pe rakkhe chand-taron se bhara pura falak jaise ho ek chhota sa thaal aisi dilbar thi ki jab rakh deti dil ke dil pe hath bhul jata zindagi ke ranj ghairon ke diye sab zakhm apnon se suni har talkh baat aur gai to le gai har ek khushi har raushni ko apne sath zindagi kya jagmagati bujh gai jab kaenat kis tarah zinda raha dil aadatan dhadka kya dil raste mein bas isi ke raste mein umr-bhar thahra raha dil aur zahe qismat chali aati hai phir se apne chehre par sajae ek nadamat muskurahat mein khajalat aankh mein lekin wahi pahli qayamat khul utha hai dil badha hai sar pe rakkhe jhilmilati aarzuon aur ummidon ka taj dil badha pahli mohabbat aur nae gham ki pazirai ko aaj