dariya ke kinare

pani bahta chalta hai
kuchh dukh sahta chalta hai

sannata sa kuchh chhaya hai
pani kuchh murjhaya hai

lahren hain kuchh maili maili
maujen hain kuchh phaili phaili

tare jhuk jhuk padte hain
patte chup chup jhadte hain

abr ke tukde udte hain
katte hain phir judte hain

tare jham jham hote hain
tair chupke sote hain

shakhen sar-ba-gareban hain
bilkul chup aur hairan hain

chand bhi hai kuchh khoya khoya
kuchh jaga kuchh soya soya

abr mein chhup chhup jata hai
har tare ko chamkata hai

kuchh bahka bahka chalta hai
pani mein bhatakta chalta hai

shabnam pat pat roti hai
jo aansu hai wo moti hai

jangal chupka sota hai
manzar par sannata hai

har patte mein khamoshi hai
har konpal mein be-hoshi hai

har zarra chup hai qatra chup hai
aflak ka ek ek tara chup hai

sab gul-ha-e-raihan chup hain
champa ki sab kaliyan chup hain

dariya ki sab maujen chup hain
bal khane wali lahren chup hain

soti hai gulon mein chup khushbu
jhilmil hote hain jugnu

chalti hai hawa kuchh dhime dhime
phulon ki faza mein chupke chupke

halke halke git sunati
ruk ruk kar ek tan lagati

bhige bhige phul rasile
chupke chupke hain kuchh hanste

ye khamoshi aur sannata
aur ye sakit mauj-e-dariya

in aankhon se kya kya dekhun
is duniya ka har zarra dekhun

ya-rab ye sab manzar kya hain
sahra kya hain ghar dar kya hain

khamushi kya sannata kya hai
aadhi raat ka dariya kya hai

ye sab kyon hai ye sab kya hai
khud main kya hun 'jamal' kya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close