tujh se mahka sara gulshan tujh se bana hai pyara gulshan bhini bhini teri nikhat pyari pyari teri rangat jangal mein hai tujh se mangal jalson mein hai tujh se halchal nazish gulshan teri hasti tujh se hai bulbul ki masti tera dam bharti hai bulbul tere liye hai phirti marti tere liye hi ban se aai bagh mein apni basti basai tere liye hi bagh mein chahki tere liye hi bhatki bahki baad-e-sahar ke jhonke se tu khil kar phaila deta hai bu jis dam phaili teri khushbu daud gai gulshan se har su shakh mein kaisa phul raha hai kitni khushi se jhul raha hai mast hui hai sari khilqat phaili hai teri jo nikhat rang hai tera kaisa pyara shad hua har gham ka mara dekhte hi har ghamgin tujh ko bhula apne dard aur dukh ko duniya bhar ka tu hai chahita shak nahin is mein koi aslan tujh se mahki sari zamin hai lekin tujh ko naz nahin hai tujh ko chahe sari duniya teri hai har dil mein tamanna phul sikhata hai ye 'jauhar' khush raho tum bhi yun hi din bhar tum bhi khush har ek ko rakkho maza mohabbat ka bhi chakkho