phailta phailta sham-e-gham ka dhuan ek udasi ka tanta hua saeban unche unche minaron ke sar pe rawan dekh pahuncha hai aakhir kahan se kahan jhankta surat-e-khail-e-awargan ghurfa ghurfa bahr kakh-o-ku shahr mein dafatan sail-e-zulmat ko chirta jal utha dur basti ka pahla diya panchhiyon ne bhi pachchhim ka rasta liya khair jao azizo magar dekhna ek jugnu bhi mishal si le ke chala hai use bhi koi justuju shahr mein? aasman par rawan surmai baadalo han tumhin kya udo aur unche udo bagh-e-alam ke taza shagufta gulu be-niyazana mahka karo khush raho lekin itna bhi socha, kabhi zalimo! hum bhi hain aashiq-e-rang-o-bu shahr mein koi dekhe ye majburiyan duriyan ek hi shahr mein hum kahan tum kahan doston ne bhi chhodi hain dil-dariyan aaj waqf-e-gham-e-ulfat-e-raegan hum jo phirte hain wahshat-zada sargiran the kabhi sahib-e-abru shahr mein log tanon se kya kya jatate nahin aise rahi to manzil ko pate nahin ji se ek dusre ko bhulate nahin samne bhi magar aate jate nahin aur jaen to aankhen milate nahin hae kya kya nahin guftugu shahr mein chand nikla hai daghon ki mishal liye dur girja ke minaron ki ot se aa meri jaan aa ek se do bhale aaj phere karen kucha-e-yar ke aur hai kaun dard-ashna baware! ek main shahr mein, ek tu shahr mein