main ek budhe bargad ka darakht hun jis ki shakhen kat chuki hain aur patte bikhar chuke hain mere sine mein ek khala hai jis mein ek din ek budhe bandar ne panah li thi nahin ai budhe bargad tum us gumbad wali imarat se behtar ho jis mein ek zalim baadshah ki qabr hai nahin tum nahin jaante us gumbad ke pichhe jhonpadiyon mein kuchh diye jal rahe the jin hawaon ne ye diye bujhae hain main un hawaon se ab bhi lad raha hun