sar-zamin-e-tamanna ki mitti salakhen ugane lagi hai giraftar hone ka mausam sar-e-qarya-e-arzu aaftab-e-halakat ki surat chamakne laga hai shuaon ke nokile panjon ne jismon ko zakhmi kiya hai bhanwar dar bhanwar raushni ke samundar tufan qaidi hue ye basti gunahon se mamur aafat-rasidon ki basti hai nau-zaida aarzu intihaon ke imkan samete zamiron mein luthdi jaraem-zada khwahishon ko mitae to kaise ragon ke darichon se lipti fasilon ko rezon ki surat hawa mein uchhaale to kaise ki us ka nawishta faqat az-sar-e-nau giraftar hona ne daeron ke tasallut mein jina siyahi ke baatin mein maujud ghaaron mein rahna halakat ki sar-chashma-gahon se aazad rahne ki azmat se waqif hawao hamari fasilon ki jaanib bhi aao hamein ye batao giraftar hona hamara nawishta nahin tha iradon mein maujud tauq-o-salasil hawasnak dahshat tamanna ki mitti mein faulad hote rahe hain khud apni tawana haqiqat giraftar karne se qasir rahe main