dhanak odh kar phir rahi ho magar tum ne socha kabhi ye thandi phuwaren tumhaare sulagte badan ko khunuk-bariyan de sakengi aaj tak kitne tapte hue mausamon ne jalaya hai tan ka shajar zindagi ki khuli mutthiyon mein sabhi aandhiyan banjh jazbaat ki sard hoti hui rakh bharti rahin dard ki sip mein ek bhi bund moti nahin ban saki dil ke kashkol mein ek sikka masarrat ka khanka nahin pyase honton ke nam sahilon ke badan tishnagi ki jami ret par kasmasate rahe phul jalti hatheli ke kumhla gae ungliyon par khizan chha gai zulf ki sab siyah naginen kashmir aur shimle ki pagdandiyan ban gain bhigi palkon pe rakkhe hue sab charaghon ko bhuki sahar kha gai dhanak odh kar phir rahi ho magar tum ne socha kabhi aaj tak kitni shahzadiyan panchwin samt se aane wale kisi shahzade ki ummid mein kale dewon ke andhe kuon mein nazar-band hain dhanak odh kar yunhi kab tak phirogi bhala khudara utho apni taqdir ke munsifon se ye puchho zara jhuti shan aur shaukat ke patthar tale kab talak hath mehndi se aur mang sust-rang afshan se khali rahegi wo purani haweli jo purkhon ki hai ya wo talab ke pas wali zamin ya dasahri ki khushbu se mahka hua bagh wo kyon nahin bechte dhanak odh kar phir rahi ho magar ye to puchho zara