dahshat-e-farda nahin hai dosh ka matam nahin phul meri aankh ka minnat-kash-e-shabnam nahin tera gham jab dil mein baqi hai to koi gham nahin subh-e-nazzara se shab-ha-e-judai kam nahin ishq hai to koi mausam hijr ka mausam nahin tu nahin to kya tasawwur ki fusun-kari to hai din ke hangame to hain raaton ki bedari to hai husn ke chashmon se faiz-e-dilbari jari to hai safha-e-takhil par yaadon ki gul-kari to hai kaun sa aalam hai jo didar ka aalam nahin zehn mein hain zinda wo guzre hue ayyam abhi jhilmilate hain tasawwur mein wo subh-o-sham abhi raqs mein paimana hai khali nahin hain jam abhi dil hai sarmast-e-khumar-e-baada-e-gulfam abhi ek lamhe ko bhi bazm-e-arzu barham nahin tere gham se yun qarar-e-zist hai hasil mujhe chain se na-ashna rakhta hai soz-e-dil mujhe dard ne jaana hai lutf-e-khas ke qabil mujhe tu ne kar rakkha tha apne aap se ghafil mujhe dur hon tujh se to koi chiz bhi mubham nahin