dast-e-tah-e-sang

sharq se gharb tak
arsh se farsh tak

ya karan ta karan
ek sannata phaila hua

meri bekal jabin ke tilismat se
teri bechain banhon ke ilham tak

tishna honton se halchal bhare jam tak
un ki aankhon ke raushan diyon se

meri arghawani ghani sham tak
ya karan ta karan

ek sannata phaila hua
kahkashan bujh gai raste mein kahin

rang-e-nur-e-sahar lut gaya
aasmanon mein uljha hua

mai-kada nur ka
dil-baran-e-haram

thak ke gumnam raston mein gum ho gae
rang-e-mahtab kumhla gaya

mah-rukhan
chashm-e-ahu sifat

mast madmati shamon mein
hasrat ki dahliz par

aah bharte rahe
aur saba raat bhar

zard mahtab ki aanch mein
khak bar-sar bhatakti rahi

ya karan ta karan
ek sannata phaila hua

halqa-e-ashiqan se lab-e-baam tak
dast-e-saqi se durd-e-tah-e-jam tak

did-e-bina se bismil ke anjam tak
mabadon ki khamoshi se hangama-e-majma-e-am tak

shahr-e-afsos ki tira-o-tar galiyon se
raushan damakti hui shaara-e-am tak

yan karan ta karan
ek sannata phaila hua

rabb-e-mabud gum aasmanon mein hai
gung-o-khamosh hai

baadshah-e-jahan wali-e-ma-siwa naeb-allah-fil-arz
kaun-o-makan

ishq ka majra
husn ka majra

dard ka majra
ya khuda

ya khuda
kuchh sabil-e-jaza

dil dhadakne ko koi bahana
khuda


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close