jo shama-e-ilm-e-maghrib sayyad ne kei thi raushan bikhri hui hain jis kei kirnen har anjuman mein us sham-e-ilm-o-fan kei kuchh muntashir shuaen yaran-e-bazm tum ho us gosha-e-dakan mein lekin ye shab rakkho sachchi shua wo hai aankhon ka nur ban kar phaile jo mard-o-zan mein jo shama se nikal kar duniya ko jagmaga de jo ruh-e-taza phunke har paikar-e-kuhan mein mahaul ke asar se aae na farq lazim gulzar kei kiran aur kohsar kei kiran mein aur ye nahin to phir tum mitti ka wo diya ho afsurda nur jis ka mahdud ho lagan mein 'sayyad' ne nisbaton ke dawe to sach hain lekin ek pahlu-e-amal bhi darkar hai sukhan mein