sitam-nasiban-e-sarzamin ko payam pahuncha diya gaya hai nigun-sari ka qayam hoga sabhi nigahen jhuki rahengi har ek gardan pe tegh hogi har ek shah-rag pe honge nakhun ki shahar jab tak nigun na hoga kaman tab tak tani rahegi hamari agli hidayaton tak har ek jumbish thami rahegi zamin-zade ki intibah khuda ki marzi samajh chuke hain so ab zabanon pe khamushi hai so ab muqaddar mein galiyan hain charagh gum hain ki chaaron jaanib andheri raaton ki aandhiyan hain hamare hisse mein apne dukh par bhi qahqahe hain ya taliyan hain