agar hamare dukhon ka ilaj nind hai to koi hum se ziyaada gahri nind nahin so sakta aur na hi itni aasani aur khub-surati se koi nind mein chal sakta hai agar hamare dukhon ka ilaj jagna hai to hum is qadar jag sakte hain ki har raat hamari aankhon mein aaram kar sakti hai aur har darwaza hamare dil mein khul sakta hai agar hamare dukhon ka ilaj hansna hai to hum itna hans sakte hain ki parinde, darakhton se ud jaen aur pahad hamari hansi ki gunj se bhar jaen hum itna hans sakte hain ki koi maskhara ya pagal is ka tasawwur tak nahin kar sakta agar hamare dukhon ka ilaj rona hai to hamare pas itne aansu hain ki in mein sari duniya ko duboya ja sakta hai jahannam bujhae ja sakte hain aur sari zamin ko pani diya ja sakta hai agar hamare dukhon ka ilaj jina hai to hum se ziyaada ba-mani zindagi kaun guzar sakta hai aur kaun aise saliqe aur aziyyat se is duniya ko dekh sakta hai agar hamare dukhon ka ilaj bolna hai to hum hawa ki tarah guftugu kar sakte hain aur apne lafzon ki khushbu se phul khila sakte hain aur agar tum kahte ho: hamare dukhon ka ilaj kahin nahin hai to hum chup rah sakte hain qabron se bhi ziyaada