wo ek main hi nahin hun na jaane kitne hain jo sochte hain samajhte hain chahte bhi hain ki phutti hui pahli kiran se bhi pahle ufuq pe waqt ke chamken naya sa rang bharen jo subh ho to nasim-e-sahar ka sath dharen samir ban ke bahen rang-o-bu ki dharti par gulon se baat karen har gali se khul khilen magar ye waqt ye sahma hua dara hua waqt ye apne sae se bidka ye hanpta hua waqt kabhi idhar ko rawan hai kabhi udhar ko dawan sapida-e-sahari kya sawad-e-sham kahan ufuq pe kuchh bhi nahin hai bas ek ghaliz dhuan