tu samajhta hai jise manzil-e-isar-o-amal wo abhi tishna-e-takmil-e-safar hai ai dost jis pe chalte hue ek umr-e-safar guzri hai samne phir bhi wahi rahguzar hai ai dost nur kya nur ka partaw bhi nahin hai is mein shab-e-tarik ba-unwan-e-sahar hai ai dost lakh chehron pe numayan hon masarrat ke nuqush zindagi gham-kada-e-qalb-o-nazar hai ai dost ho wahan qadr-e-jawahir ka kise fikr-o-khayal sang-rezon ka jahan nam guhar hai ai dost chaar-su chaak hai aadam ki qaba-e-ismat har bashar dushman-e-taqdis-e-bashar hai ai dost koi surat nahin aaram-e-nasheman ki nasib kaamran silsila-e-barq-o-sharar hai ai dost nasl-e-insan ko milin jis se nishanat-e-uruj un maqamat ki ab kis ko khabar hai ai dost kaghazi phulon mein khushbu ka yaqin hai tujh ko apni pasti ka kuchh ehsas nahin hai tujh ko