darakht hai ye khizan-girafta sulagti viraniyon dahakte sukut ki ek dabiz chadar ko odhe hairan-o-muztarib sa ki jaise manzil pe lutne wala koi musafir ba-baatin-e-afsurda-khatir aur mutmain ba-zahir ki aalam-e-be-bizaati hai na phal hai koi na ghuncha-o-gul na sabz patte na wo lachakti mahakti shakhen hain sar se pa tak khizan ki tarikiyan musallat kiran kiran mar chuki umiden dhuan dhuan hain bujha bujha hai darakht lekin bujhe bujhe se darakht mein sabz raushni so rahi hai ab bhi hamein yaqin hai bahaar ki rut jab aaegi to jagaegi sabz raushni ko darakht phir jagmaga uthega hayat ki sabz raushni se hamein yaqin hai