hanuz yaad hai

zahe jamal zahe aalam-e-shabab tera
nazar ki chhed se bajta tha jab rabab tera

dam-e-widaa wo rangin udasiyan teri
hanuz yaad hai wo dida-e-pur-ab tera

wo jhum-jhum ke abr-e-bahaar ka aana
wo bijliyon ki tadap aur wo iztirab tera

wo ibtida-e-mohabbat wo chandni raaten
wo sehn-e-bagh mein hansta hua shabab tera

sanbhal-sanbhal ke meri samt wo nigah teri
bacha-bacha ke nazar mujh se wo khitab tera

mera harim-e-tamanna tha aasman se buland
us aasman pe chamakta tha aaftab tera

abhi nazar mein hai raaz-o-niyaz ka aalam
wo mera ijz-e-mohabbat wo pech-o-tab tera

kabhi sitam ke liye aur kabhi karam ke liye
nigah-e-shauq mein duba hua hijab tera

mera sawal ba-qadr-e-hujum-e-shauq-e-nihan
haya ki aad mein chhupta hua jawab tera

hanuz yaad hai 'jauhar' ko ai nigar-e-jamil
wo iltifat ke parde mein ijtinab tera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close