dayar-e-khwab ke udhar musafiron ki bastiyan nashili kali badliyan sharabiyon ki toliyan nasha badhati dhani dhani chunariyan mahakte kunware jism chilmanon ki tiliyan sajili reshmi paron mein rang-birangi titliyan paki pakai auraton mein shahwaton ki bijliyan zara si raat bhig jae, phir suno andhere ki zaban thake thakae jism hanpti latakti chhatiyan shafiq aankhen maon ki rahim loriyan khizan lutati kahkashan, dhuan ugalti chimniyan dhadakte dil, nidhaal jism, dhup ke makan sunahre surkh pairahan bhigoti shahr-zadiyan gadele gande pokharon mein tairti hain machhliyan na jaane kis gunah ki saza mein bahti nadiyan zara si raat bhig jae, phir suno andhere ki zaban dayar-e-khwab ke udhar musafiron ki bastiyan