sham dulhan ki tarah apne rangon mein nahai hui sharmai hui baithi hai gosha-e-chashm se kajal ki syahi abhi aansu ban kar bahte ghaze mein nahin jazb hui abhi khoi nahin baalon ki dil-afroz pareshani mein muskuraati hui sindur ki mang ghulte rangon mein abhi kahish-e-jaan baqi hai ghulte rangon ka koi kya jaane kab miten kaise miten shab ki tarikiyan har samt bikhar jaen to aaram mile ye chamakte hue zarre na rahen zauq-e-tamasha na rahe koi tamanna na rahe ek kiran chhod ke jati hi nahin chashm-gin karti hui khel rahi hai ab tak zard-ru ghas ke sine pe thirakti hui badh jati hai sang-rezo ki nigahon mein chamakti hui laut aati hai koi samjhae use jao chali jao yahan ab kya hai dhup ke kanpte sayon ko zara badhne do shab ki tarikiyan chha jaane do main ne sau bar kaha ek na mani us ne muskuraati hui shakhon pe larazti hi rahi yun bhi tadpane mein ek lutf to hai soz to hai rang ghulte hain ghulenge aakhir ghulte rangon ka koi kya jaane kab miten kaise miten apne rangon mein nahai hui sharmai hui sham dulhan ki tarah baithi rahi baithi rahi