uf wo jamuna ke qarin dehat ka dilkash saman unchi-nichi si wo diwaren wo kuchh tute makan rashk ho firdaus ko naqsha hai wo dehat ka sabz kahi ki bahaar aur wo saman barsat ka aasman karta hai shab-bhar gauhar-e-anjum nisar phul karti hai nichhawar har sahar baad-e-bahaar wo rawish kheton ki jis par takhta-e-jannat nisar kyariyan wo dilruba ho jalwa-e-fitrat nisar shahr ki thandi hawa se nakhl tha har ek nihan thi khas-o-khashak pani par ki aaine pe baal sabz dhanon ka wo ta-hadd-e-nazar ek silsila wo ghane paude nazar ko thi na til rakhne ki ja thi banafsha sath par pani ki yun aai hui zulf ho jis tarah aaine pe lahrai hui uf wo sannata wo khamoshi faza ki muttasil khadkhadaya jab koi patta dhadak uthta tha dil lahlaha utthen shajar wo sham ki thandi hawa chhut wo mahtab ki badh jae pani khet ka ud rahe hain is tarah mauj-e-hawa ke sath mein jaan goya pad gai hai khak ke zarraat mein dubta suraj wo chadhti dhup wo dilkash saman surkhi-e-mashriq se wo uthta hua shab ka dhuan bel har-su ishq-e-pechan ki wo lahrai hui aasman ki tarah chakkar mein zamin aai hui