zulf-e-khuban ki tarah dehli ki sadken hain daraaz aur tanga hankne walon pe zahir hai ye raaz motron se kaise ho sakta hai mera saz-baz kash ki petrol bhi hota sharab-e-khana-saz pi ke is sahba ko hotin motaren mast-e-khiram main to hun mard-e-musalman mujh pe pina hai haram aur akela hun bhi to paidal chala jaunga main laila-e-mahmil-nashin ko kaise samjhaunga main najd ka naqa kahan se dhund kar launga main panch chhe bachchon ko aakhir kaise bahlaunga main ek ho to god main le lun ki wo bhaari nahin main magar insan hun ai dosto lari nahin tange wale hain samand-e-naz ke upar sawar aabla-pai ye kahti hai ki ab chalna hai bar dekhte hain mere juton ke talon ko jab chamar kyun hui jati hain ya-rab wo nigahen dil ke par chhod kar juton ko chal sakta nahin, hun nange panw mary ye haalat hai bacha jis tarah pahne khadaun aa gae dehli mein jab se aadmi patal ke ho gae maghrur malik har khar-e-dajjal ke chalte chalte ho gae kham panw banke lal ke hum bhi ujrat mein take dete to hain tiksal ke hum se lekin mil nahin sakte unhen aandhi ke ber lutte hain ajnabi ko jo dikha kar her-pher